wo sal-KHurda chaTTanen
jo aasman ko chhute hue
bagulon ki zad mein sabit rahi hain
ab reg-zar mein muntaqil hui hain
hua ke nazuk KHafif jhonke pe mushtail hain
uDi jo gard ta qadam bhi
to abr ban ke falak pe chhai
magar jo suraj ne aankh mal ke use kureda
to KHak ho kar wahin giri hai
hua ke raftar kab ruki hai
bahao dariya ka mustaqil hai
KHafif KHunki hai salb hai shab mein
zamin mehwar pe ghumti hai
abhi bhi rahm zamin mein
Thos aur sayyal daulaton ki
kami nahin hai
har ek shai hai
har ek shai hai
wo waqt lekin
wo waqt phaila hua tha
kohsaron aabshaaron
sulagte sahraon
gahre phaile samundaron mein
ab unchi imaraton
qahwa KHanon baron
phisalti caron chamakti saDkon
ghaDi ke mahdud hindison mein
simaT gaya hai
wo jis ki ungli se chand shaq ho
wo jis ke zaKHmi dahan se
dushman ki fauj par
rahmaton ki ThanDi phuwar barse
wo jis ki muTThi mein
wo jahan ki tamam daulat
tamam sarwat simaT gai ho
wo apne KHali shikam mein patthar ka bojh bandhe
kahan hain is ke ghulam
aaKHir kahan hain is ke
wo nisf baqi bhi mil chuka tha
ye nisf hasil bhi chhin chuka hai
husul kal sahal hi tha lekin
wo ek manzar
phisalti caron chamakti saDkon ki haw-hu mein
wo ek manzar
ghulam naqa nashin ho aur
nakel aaqa ke hath mein ho
kahan se aae
Nazm
Husul kal aur ek manzar
Zaheer Siddiqui