sirf husn
han sirf husn najat-dahinda hai
aankhon ka
jo ghaTiya pinjron mein qaid hai
aur mamuli manazir mein mahbus
kisi gali-saDi la-yaniyat ki tarah najis
kisi bhule hue lafz ki tarah aaseb-zada
kyun nahin bujh leti aulad-e-adam
ki khul jaega sara chhupao
ek haibatnak KHali Thahrao mein
jo ek saffak bedari se mohr-band hai
ek madfun parwaz ki tarah
ek hunut-shuda ufuq ki tarah
bil-aKHir hasti ki zad-bum par dhund chha gai
ab cockroach ghaarat-gar fateh hain
us kaenat ke jahan waqt abhi ajnabi nahin hua
un ki saltanat mein tariKH mamnua hai
zamane par KHarash Dalti KHar-dar tughyani
hawadis se pare chalti hui
Takra rahi hai qadim chaTTanon se
ek bahut hi siyah raat ke sahme hue sitare
ek pur-haul faza mein sans leti KHamoshi
jise hum KHwab karna chahte hain
KHwab jauhar hain asil nind ka
insani aankhon ka
hamare sayyare
aur hamare zamane itne KHallaq nahin hain
ki bana saken ek sachchi raat
jo sahaar sake
abdiyat se tarashi hui wo tahdar gahrai
jis se taKHayyul ka qimash buna gaya hai
yaqinan hamein ek nind ki zarurat hai
kisi asatiri sitare ka dabiz ka hi saya
ghaibi dhundalke ko sanwarta ujalta
ek dil, ek zaKHm---- bana sakte hain dekhe ko an-dekha
dard kafil hai ruh ka
lafz ki bulughat tak shole ki puKHtagi tak
Nazm
Husn najat-dahinda hai
Ahmad Javed