jahan mein hai ziya meri main husn-e-jalwa-kar hun
main raunaq is chaman ki hun main fasl-e-nau-bahaar hun
main zeb-e-kaenat hun main faKHr-e-rozgar hun
main shahid-e-nahufta ka jamal-e-ashkar hun
ki aaine mein dahr ke main aks-e-kirdgar hun
kalim ko main apna ruKH na be-KHatar dikha saka
suragh mere nur ka na koh-e-tur pa saka
na main nazar mein aa saka na aql mein sama saka
KHayal mere auj par na par laga ke ja saka
main hisn-e-be-shikast hun main rah-e-be-guzar hun
paDi hai ek KHafif si nujum par kiran meri
ki rakhti hai tawaf mein sada unhen lagan meri
chhupi hijab-e-quds mein hai sham-e-anjuman meri
sitare jal ke KHak hon jo dekh len phaban meri
main ganj-e-ab-o-tab hun main bahr-e-nur-o-nar hun
ye chandni ki ThanDaken ye dhup ki hararaten
ye subh ki sabahaten ye sham ki malahaten
zamin ki ye zinaten falak ki ye latafaten
ye bijliyon ki shoKHiyan ye baadalon ki rangaten
ye rang-rup hain mere main in mein aashkar hun
har ek shaKH-sar mein mujhi se aab o rang hai
phapakte hain daraKHt jo ye meri hi umang hai
phudakte hain parind sab mujhi se ye tarang hai
karishme dekh kar mere har ek aql dang hai
hain khel nit-nae mere main wo tilism-kar hun
gulon ke rang rang se ayan hain jhalkiyan meri
chaman ke ghunche ghunche mein shamim hai nihan meri
zaban pe patte patte ki rawan hai dastan meri
surang paud paud ki jaDon mein hai dawan meri
main ruh-e-sabza-zar hun main nazish-e-bahaar hun

Nazm
Husn ki zaban se
Wahiduddin Saleem