garaj raha hai siyah mast pil paikar-e-abr
udas koh ki choTi pe ek tanha peD
uTha raha hai su-e-asman wo tanha shaKH
sarak rahi hai abhi jis mein zindagi ki nami
baDha ho jaise kisi be-nawa ka bekas hath
hujum-e-yas mein ek aaKHiri dua ke liye
baras muhit-e-karam ek bar aur baras
bas ek bar mujhe aur phul lane de
taDap raha hai abhi mujh mein saz-o-barg-e-numu
ye meri kaliyan ye patte abhi to zindagi hun
utar utar mere daman pe phul barsa de
machal ke abr ke pardon se be-hijab aaya
dua-e-nim-shabi ka magar jawab aaya
sharar-e-barq ka haijaan
peD taur ba-dast
za-farq ta ba-qadam ek phul
husn-e-qubul
Nazm
Husn-e-qubul
Tasadduq Husain Khalid