kya ghazab hai husn ke bimar hone ki sada
jaise kachchi nind se bedar hone ki ada
inkisar-e-husn palkon ke jhapakne mein nihan
nim-wa bimar aankhon se murawwat si ayan
jumbish-e-mizhgan mein ghaltan saz-e-gham ka zer o bam
KHamushi mein par-fishan ifa-e-paiman ki qasam
ehtiram-e-ishq ki rau dil-nashin aawaz mein
ek phike-pan ka sannaTa dayar-e-naz mein
al-aman aankhon ki nim-afsurda si afsun-gari
ek dhundla sa tabassum ek thaki si dilbari
chuDiyan Dhili dilai par shikan mathe pe hat
lab pe KHushki ruKH pe sundha-pan nazar mein iltifat
halki halki jhalkiyan ruKHsar par yun nur ki
jaise gul par subh-e-kazib ki suhani chandni
le raha hai karwaTen aariz mein yun rang-e-shabab
jis tarah mauj-e-KHiraman par ziya-e-mahtab
husn yun khoya hua sa bazm-e-mahsusat mein
jaise donon waqt milte hun bhari barsat mein
yun hai ek raushan nami si chashm-e-sehar-andaz mein
subh ko shabnam ho jaise mariz-e-parwaz mein
jaise kohre mein koi tabinda manzar dur ka
jaise pichhli raat ke sine pe Dora nur ka
aise izmehlal par duniya ki barnai nisar
aisi bimari par ejaz-e-masihai nisar
Nazm
Husn-e-bimar
Josh Malihabadi