ek doshiza saDak par dhup mein hai be-qarar
chuDiyan bajti hain kankar kuTne mein bar bar
chuDiyon ke saz mein ye soz hai kaisa bhara
aankh mein aansu bani jati hai jis ki har sada
gard hai ruKHsar par zulfen aTi hain KHak mein
nazuki bal kha rahi hai dida-e-ghamnak mein
ho raha hai jazb mahr-e-KHun-chakan ke ru-ba-ru
kankaron ki nabz mein uThti jawani ka lahu
dhup mein lahra rahi hai kakul-e-ambar-sarisht
ho raha hai kam-sini ka loch juzw-e-sang-o-KHisht
pi rahi hain surKH kirnen mahr-e-atish-bar ki
nargisi aankhon ka ras mai champai ruKHsar ki
gham ke baadal KHatir-e-nazuk pe hain chhae hue
aariz-e-rangin hain ya do phul murjhae hue
chithaDon mein didani hai ru-e-ghamgin-e-shabab
abr ke aawara TukDon mein ho jaise mahtab
uf ye nadari mere sine se uThta hai dhuan
aah ai aflas ke mare hue hindostan!
husn ho majbur kankar toDne ke waste
dast-e-nazuk aur patthar toDne ke waste
fikr se jhuk jae wo gardan tuf ai lail o nahaar
jis mein hona chahiye phulon ka ek halka sa haar
aasman jaan-e-tarab ko waqf-e-ranjuri kare
sinf-e-nazuk bhuk se tang aa ke mazduri kare
us jabin par aur pasina ho jhalakne ke liye
jo jabin-e-naz ho afshan chhiDakne ke liye
bhik mein wo hath uTThen iltija ke waste
jin ko qudarat ne banaya ho hina ke waste
nazuki se jo uTha sakti na ho kajal ka bar
un subuk palkon pe baiThe rah ka bojhal ghubar
kyun falak majbur hon aansu bahane ke liye
ankhDiyan hon jo dilon mein Dub jaane ke liye
muflisi chhanTe use qahr-o-ghazab ke waste
jis ka mukhDa ho shabistan-e-tarab ke waste
fart-e-KHushki se wo lab tarsen takallum ke liye
jin ko qudarat ne tarasha ho tabassum ke liye
nazninon ka ye aalam mathar-e-hind aah aah
kis ke jaur-e-na-rawa ne kar diya tujh ko tabah?
hun barasta tha kabhi din raat teri KHak par
sach bata ai hind tujh ko kha gai kis ki nazar
bagh tera kyun jahannam ka namuna ho gaya
aah kyun tera bhara darbar suna ho gaya
sar-barahna kyun hai wo phulon ki chadar kya hui
ai shab-e-tarik teri bazm-e-aKHtar kya hui
jis ke aage tha qamar ka rang phika kya hua
ai urus-e-nau tere mathe ka Tika kya hua
ai KHuda hindostan par ye nahusat ta-kuja?
aaKHir is jannat pe dozaKH ki hukumat ta-kuja?
gardan-e-haq par KHarash-e-tegh-e-baatil ta-ba-kai?
ahl-e-dil ke waste tauq-o-salasil ta-ba-kai?
sar-zamin-e-rang-o-bu par aks-e-gulKHan ta-kuja?
pak sita ke liye zindan-e-rawan ta-kuja?
dast-e-nazuk ko rasan se ab chhuDana chahiye
is kalai mein to kangan jagmagana chahiye
Nazm
Husn aur mazduri
Josh Malihabadi