ye hujum-surat aasman-e-siyah mere aqab mein hai
main baDe buland shajar ka phal baDe fasle ka shikar
ghamza-e-raaz-dar
kaha gaya ki zamin ek kaf jo pahaD mauj-e-nasim gesu-e-KHalwati
so zamin saya-e-tirgi ki misal mere aqab mein hai
mujhe nind se jo uTha ke jura-e-ab de
jo pas-e-ghubar chahaar-samt se aa ke mera halak ho
jo dam shaguft-e-gul-shafaq meri kuhniyon se qarib ho
wo hujum-e-KHalwatiyan-e-KHas mere aqab mein hai
main samaaton ka shikar tha
tu samaaton ka sahab surat-e-ab mere aqab mein hai
koi raste mein nahin mila
koi barg-o-bar-o-gul-o-shajar
koi nan-o-lahm-e-guzishtgan
koi aankh nind KHayal KHwab abr shitab nahin mila
koi KHwab-zada nahin mila
sar-e-KHud-nehada nahin mila
sar-e-KHud-nehada ba-kaf ye mein ki zamin ek kaf-e-ju
pahaD mauj-e-nasim gesu-e-KHalwati
sar-e-KHud-nehada ba-kaf ye main ki hujum-e-mar-e-siyah mere aqab mein hai
main baDe buland shajar ka phal
baDe fasle ka shikar ghamza-e-raaz-dar
Nazm
Hujum
Mohammad Anvar Khalid