hamein bhi ro le hujum-e-girya ki phir na aaenge gham ke mausam
hamein bhi ro le ki hum wahi hain
jo aaftabon ki bastiyon se suragh lae the un saweron ka jin ko shabnam ke pahle qatron ne ghusl baKHsha
safed rangon se nur-e-mani nikal lete the aur chandi ujalte the
shafaq pe Thahre sunahre baadal se zard sone ko Dhaalte the
KHunuk hawaon mein KHushbuon ko mila ke un ko uDane wale
saba ki parton pe sher likh kar adam ki shaklen banane wale
dimagh rakhte the lafz o mani ka aur dast-e-hunar ke malik
waqar-e-nur-e-charagh hum the
hamein bhi ro le hujum-e-girya
hamein bhi ro le ki hum wahi hain
jo tez aandhi mein saf chehron ko dekh lete the aur sanson ko bhanpte the
falak-nashinon se guftuguen thin aur pariyon se khelte the
karim logon ki sohbaton mein kushada ku-e-saKHa ko dekha
kabhi na roka tha hum ko suraj ke chobdaron ne qasr-e-baiza ke daKHle se
wahi to hum hain
wahi to hum hain jo luT chuke hain hafiz rahon pe luTne wale
usi falak ki siyah-zamin par jahan pe larzan hain shor-e-nala se aadilon ki sunahri kaDiyan
hamein bhi ro le hujum-e-girya
hamein bhi ro le ki in dinon mein hamari pushton pe bar hota hai zaKHm-e-taza ke surKH phulon ka aur gardan mein sard aahan ki kohna laDiyan
hamari zid mein safed naKHun qalam banane mein dast-e-qatil ka sath dete hain aur neze uchhaalte hain
hawa ki lahron ne reg-e-sahra ki tez dhaaron se rishte joDe
sharir hathon se kankaron ki siyah barish ke rabte hain
hamari zid mein hi mulkon mulkon ke shahryaron ne ahd bandhe
yahi ki hum ko dhuen se bandhen aur ab dhuen se bandhe hue hain
so hum pe rone ke nauha karne ke din yahi hain hujum-e-girya
ki mustaid hain hamare matam ko gahre sayon ki sard shamen
KHizan-rasida tawil shamen
hamein bhi ro le hujum-e-girya ki phir na aaenge gham ke mausam
Nazm
Hujum-e-girya
Ali Akbar Natiq