shajar hajar hun ki insan hun ya sitare hun
sabhi hudud ke ek daere mein rahte hain
ye kaenat zaman o makan ki qaid mein hai
har ek shai hai uruj o zawal ki paband
har ek manzil-e-aKHir hai manzil-e-awwal
jahan se ek nai manzil ki justuju mein sabhi
haqiqaton ko taKHayyul ka rang dete hain
safar mein ruk nahin sakte qadam musafir ke
zamin bhi ghumti hai raste bhi chalte hain
har ek ufuq pe zamin aasman se milti hai
ghaDi chale na chale waqt to guzarta hai
Nazm
Hudud ka daera
Rashid Aazar