hona sab se baDa uljhawa hai
shaKH-e-sanobar chand ki aas mein jagti hai
aur din-bhar sone wale ghar ki dahlizon par aa kar baiThte hain
aur KHwahish-o-KHwab ke andeshon mein raat
simaTte pairahan ki lazzat ban kar rauzan-e-dar se jhankti hai
bachche maon ki gardan mein banhen Dale sote hain
KHwab hamari maen hain
KHwab hamari maen hain
aur rah kinare baiThe laDke ghar ko jaane wala sab se lamba raste chunte hain
shadabi is shahr mein ek din aai thi
shadabi har shahr mein ek din aati hai
aur har shahr ke ek goshe mein sannaTe ki chadar tane
ek akela ghar sota hai
bari bari ek ek aane wala
ek na ek din us ghar mein aata hai
shadabi us shahr mein ek din aai thi
us din shahr-e-panah mein sab se pahla aane wala main tha
aur chand saman jhalajhal chehre fanuson ka saut bane the
chand akela ghar
so ek din har jaane wala us ghar mein jata hai
maen apne bachchon ko us ghar mein ja kar janti hain
bahnen Dhol suhag alap ke roti hain
aur beTe
saz sajae maidanon mein ghoDe dauDate hain
KHemon mein har raat alaw jalae jate hain
aur zaKHmi jism ko dagha jata hai
aur marne walon ki fihrist banai jati hai
KHwahish KHwab andeshe KHauf
kabhi na thakne wale payaade
hum maidani log
so ek din har jaane wala us ghar mein jata hai
is ke baad jo hai wo shahr-e-panah mein aane ka pachhtawa hai
hona sab se baDa uljhawa hai
Nazm
Hona sab se baDa uljhawa hai
Mohammad Anvar Khalid