اردو हिंदी
Holi | Shaahi Shayari
holi

Nazm

Holi

Saghar Nizami

;

fasl-e-bahaar aai hai holi ke rup mein
sola-singhaar lai hai holi ke rup mein

rahen paTi hui hain abir-o-gulal se
haq ki sawari aai hai holi ke rup mein

pichkariyan liye hue dewi nashat ki
har ghar mein aaj aai hai holi ke rup mein

sindur hai ek hat mein ek hat mein gulal
taqdir muskurai hai holi ke rup mein

wo hum se mujtanib nahin holi ke nam par
hum ne murad pai hai holi ke rup mein

holi ne un ko aur bhi diwana kar diya
diwanon ki ban aai hai holi ke rup mein

rangon ki lahr lahr mein pichkariyan liye
qaus-e-quzah KHud aai hai holi ke rup mein

dekho jise wo gharq hai rang-o-surur mein
ek main nahin KHudai hai holi ke rup mein

'saghar' nawed-e-dawat-e-ab-o-hawa liye
baad-e-bahaar aai hai holi ke rup mein