kahin paDe na mohabbat ki mar holi mein
ada se prem karo dil se pyar holi mein
gale mein Dal do banhon ka haar holi mein
utaro ek baras ka KHumar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
laga ke aag baDhi aage raat ki jogan
nae libas mein aai hai subh ki malan
nazar nazar hai kunwari ada ada kamsin
hain rang rang se sab rang-bar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
hawa har ek ko chal phir ke gudgudati hai
nahin jo hanste unhen chheD kar hansati hai
haya gulon ko to kaliyon ko sharm aati hai
baDhao baDh ke chaman ka waqar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
ye kis ne rang bhara har kali ki pyali mein
gulal rakh diya kis ne gulon ki thaali mein
kahan ki masti hai malan mein aur mali mein
yahi hain sare chaman ki pukar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
tumhin se phul chaman ke tumhin se phulwari
sajae jao dilon ke gulab ki kyari
chalae jao nashili nazar se pichkari
luTae jao barabar bahaar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
mile ho bara mahinon ki dekh-bhaal ke baad
ye din sitare dikhate hain kitni chaal ke baad
ye din gaya to phir aaega ek sal ke baad
nigahen karte chalo chaar yar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
burai aaj na aise rahe na waise rahe
safai dil mein rahe aaj chahe jaise rahe
ghubar dil mein kisi ke rahe to kaise rahe
abir uDti hai ban kar ghubar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
haya mein Dubne wale bhi aaj ubharte hain
hasin shoKHiyan karte hue guzarte hain
jo choT se kabhi bachte the choT karte hain
hiran bhi khel rahe hain shikar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
Nazm
Holi
Nazeer Banarasi