اردو हिंदी
Holi ki bahaaren | Shaahi Shayari
holi ki bahaaren

Nazm

Holi ki bahaaren

Nazeer Akbarabadi

;

jab phagun rang jhamakte hon tab dekh bahaaren holi ki
aur daf ke shor khaDakte hon tab dekh bahaaren holi ki

pariyon ke rang damakte hon tab dekh bahaaren holi ki
KHum, shishe, jam, jhalakte hon tab dekh bahaaren holi ki

mahbub nashe mein chakte hon tab dekh bahaaren holi ki
ho nach rangili pariyon ka baiThe hon gul-ru rang-bhare

kuchh bhigi tanen holi ki kuchh naz-o-ada ke Dhang-bhare
dil bhule dekh bahaaron ko aur kanon mein aahang bhare

kuchh table khaDken rang-bhare kuchh aish ke dam munh-chang bhare
kuchh ghunghru tal chhanakte hon tab dekh bahaaren holi ki

saman jahan tak hota hai us ishrat ke matlubon ka
wo sab saman muhayya ho aur bagh khila ho KHwabon ka

har aan sharaben Dhalti hon aur ThaTh ho rang ke Dubon ka
is aish maze ke aalam mein ek ghol khaDa mahbubon ka

kapDon par rang chhiDakte hon tab dekh bahaaren holi ki
gulzar khile hon pariyon ke aur majlis ki tayyari ho

kapDon par rang ke chhinTon se KHush-rang ajab gul-kari ho
munh lal, gulabi aankhen hon, aur hathon mein pichkari ho

us rang-bhari pichkari ko angiya par tak kar mari ho
sinon se rang Dhalakte hon tab dekh bahaaren holi ki

us rang-rangili majlis mein wo ranDi nachne wali ho
munh jis ka chand ka TukDa ho aur aankh bhi mai ke pyali ho

bad-mast baDi matwali ho har aan bajati tali ho
mai-noshi ho behoshi ho bhaDwe ki munh mein gali ho

bhaDwe bhi, bhaDwa bakte hon tab dekh bahaaren holi ki
aur ek taraf dil lene ko mahbub bhawayyon ke laDke

har aan ghaDi gat bharte hon kuchh ghaT ghaT ke kuchh baDh baDh ke
kuchh naz jatawen laD laD ke kuchh holi gawen aD aD ke

kuchh lachke shoKH kamar patli kuchh hath chale kuchh tan bhaDke
kuchh kafir nain maTakte hon tab dekh bahaaren holi ki

ye dhum machi ho holi ki aur aish maze ka jhakkaD ho
us khincha-khinch ghasiTi par bhaDwe ranDi ka phakkaD ho

majun, sharaben, nach, maza, aur Tikiya sufa kakkaD ho
laD-bhiD ke 'nazir' bhi nikla ho kichaD mein laththaD-paththaD ho

jab aise aish mahakte hon tab dekh bahaaren holi ki