agar aaj bhi boli-Tholi na hogi
to holi Thikane ki holi na hogi
baDi galiyan dega phagun ka mausam
agar aaj ThaTTha ThiTholi na hogi
wo kholenge aawara mausam ke jhonke
jo khiDki sharafat ne kholi na hogi
hai holi ka din kam se kam dopahar tak
kisi ke Thikane ki boli na hogi
abhi se na chakkar laga mast bhanwre
kali ne abhi aankh kholi na hogi
ye boTi pari ban ke uDne lagegi
zara gholiye phir se gholi na hogi
isi jeb mein hogi fitne ki puDiya
zara phir TaTolo TaToli na hogi
'nazir' aaj aaenge milne yaqinan
na aae to aaj un ki holi na hogi
Nazm
Holi jawani ki boli mein
Nazeer Banarasi