ho raha hai zikr paiham aam ka
aa raha hai phir se mausam aam ka
nazm likh kar us ke istiqbaal mein
kar raha hun KHair-maqdam aam ka
un se hum rakkhen ziyaada rabt kyun
shauq jo rakhte hain kam kam aam ka
tab kahin aata hai mere dam mein dam
nam jab leta hun hamdam aam ka
shauq se paDhte hain us ko KHas-o-am
jab qasida likhte hain hum aam ka
kya kahun asmar ki fihrist mein
nam hai sab se muqaddam aam ka
ek faqat main hi nahin shaida 'asar'
shaida hai aalam ka aalam aam ka
Nazm
Ho raha hai zikr paiham aam ka
Shaheen Iqbal Asar