main ki do roz ka mehman tere shahr mein tha
ab chala hun to koi faisla kar bhi na saka
zindagi ki ye ghaDi TuTta pul ho jaise
ki Thahar bhi na sakun aur guzar bhi na sakun
mehrban hain teri aankhen magar ai munis-e-jaan
in se har zaKHm-e-tamanna to nahin bhar sakta
aisi be-nam masafat ho to manzil kaisi
koi basti ho basera hi nahin kar sakta
ek muddat hui laila-e-watan se bichhDe
ab bhi riste hain magar zaKHm purane mere
jab se sarsar mere gulshan mein chali hai tab se
barg-e-awara ki manind Thikane mere
aaj is shahr kal us shahr ka rasta lena
hae kya chiz gharib-ul-watani hoti hai
ye safar itna musalsal hai ki thak haar ke bhi
baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai
tu bhi aisa hi dil-aram shajar hai jis ne
mujh ko is dasht-e-qayamat se bachae rakha
ek aashufta-sar o aabla-pa ki KHatir
kabhi zulfon kabhi palkon ko bichhae rakha
dukh to har waqt taaqub mein raha karte hain
yun panahon mein kahan tak koi rah sakta hai
kab talak ret ki diwar sambhaale koi
wo thakan hai ki mera jism bhi Dah sakta hai
ajnabi log nae log parai galiyan
zindagi aaise qarain mein kaTegi kaise
teri chahat bhi muqaddas teri qurbat bhi bahisht
des paradesh ki tafriq ghaTegi kaise
na-guzir aaj hua jaise bichhaDna apna
kal kisi roz mulaqat bhi imkan mein hai
main ye pairahan-e-jaan kaise badal sakta hun
ki tera hath mere dil ke gareban mein hai
Nazm
Hitch-hiker
Ahmad Faraz