wo KHamosh thi
apne dozaKH mein jalti hui
nil-gun paniyon ke shikanje mein jakDi hui
ek machalti hui mauj-e-mahtab ki samt lapki
magar
ret par aa giri sip ugalti hui
KHamushi ke bhanwar se nikalti hui
wo hansi aur hansi
brazier mein se bahar phisalti hui
ab wo laDki nahin sirf angDai thi
ek tawanai thi
nim-wa aankh mein kasmasati hui
hath malti hui
ek samundar tha biphra hua
ek shab thi na Dhalti hui

Nazm
Histiriya
Javaid Anwar