KHwahishon ke lams mein Dubi hui
daeron mein ghumti tanhaiyan
ihtibas-o-jabr ki tarik shab
muztarib ranjur gandum-gun sahar
aisa lagta hai andhera kah raha ho zer-e-lab
ai kabud-o-kor-chashm ai lain
tujh ko baKHshi thi kiran az-rah-e-dil-sozi magar
tu samajhta hai ki ye jud-o-saKHa lutf-o-ataf
tera istehqaq hai aur tu KHuda-e-aftab
jal bujhe muddat hui teri KHudai ke diye
bhag jitna bhagna hai zulmaton ke qahr se
ho sake to phir jala bisri mohabbat ke charagh
marg-bar-alam mein ek ummid ki mubham kiran
ek bujhte dip ka maddham hirasan irtiash
kaun jaane in charaghon ki ziya kab tak chale
Nazm
Hisar-e-tirgi
Salman Ansari