mere ird-gard ek hisar hai
ek hisar jis ke gir-o-dar main
be-aman ghubar mein
mera jism meri zat
tar tar hai
waqt ek lafz jo
asir apne manawi bahisht mein
waqt ek tasalsul-e-KHayal jis ke dusre
ek KHala-e-be-karan ki jaan-kashan giraft hai
is hisar se agar nikal sakun
(jism munjamid chaTan barf ki main agar pighal sakun)
reza reza jism ko sameT kar
ek wajud-e-taza-tar mein Dhal sakun
phir na jaane kaun sa ghubar mujh ko gher le
kaun sa hisar mujh ko gher le

Nazm
Hisar-andar-hisar
Akbar Hyderabadi