اردو हिंदी
Hisab | Shaahi Shayari
hisab

Nazm

Hisab

Zeeshan Sahil

;

sab se pahle
hum mohabbat ko farz kar lete hain

phir apne KHwabon se
use zarb dete hain

jawab mein hamari zindagi
hamein nahin milti

hum ek bar phir
mohabbat ko farz kar lete hain

aur is dafa mohabbat ko
KHauf se taqsim kar dete hain

jawab mein kuchh hasil nahin hota
hum aaKHiri bar mohabbat ko farz karte hain

aur is mein se apne KHwab
aur KHauf ghaTa lete hain

hamari zindagi hamein mil jati hai
mohabbat ke hisab mein

ek se ziyaada chizen
farz nahin ki ja saktin

aur farz ki hui chiz mein
hum apne KHwab

ya kuchh aur jama nahin kar sakte