main apne aap gum summun udas wamanda
ye sochta hun ki kya haq hai mujh ko jine ka
na mahtab mera hai na aaftab mera
na din ke rang mere hain na lutf-e-KHwab mera
koi qarib se dekhe to mere daman mein
shikayaten bhi bahut hain mohabbaten bhi bahut
riwayaten bhi bahut hain baghawaten bhi bahut
phir ek sawal hai bedar shab ke aangan mein
jo KHud hi jag raha ho udas bistar par
wo shab ke rengte lamhat se kahe kyunkar
siyah raat hai aao lipaT ke so jao
ufuq ke par nigar-e-sahar ko kya malum
dayar-e-shab mein guzarti hai zindagi kaise
main in ko apne ghamon ka gawah kaise karun
nashat-e-zist jo samjhen meri mashaqqat ko
misal-e-reg bikharte hue badan ke siwa
tamam din ki thakan ka koi gawah nahin
mujhe hawa-e-sar-e-rah-guzar pasand sahi
magar hawa-e-sar-e-rah-guzar mere haq mein
sumum-e-tana-o-dushnam le ke aai hai
meri sahar ke liye sham le ke aai hai
KHulus-o-rishta-e-mehr-o-wafa se kya hasil
kuchh aur chahiye is ahd ki mohabbat ko
kahun to kis se kahun ai mere but-e-masum
mata-e-qalb-o-nazar haar kar hua malum
fareb thin teri banhen sarab the tere honT
jab aansuon pe mata-e-wafa ka dhoka tha
to reg-e-dasht ke manind KHushk thin aankhen
ab aansuon ki koi qadr hai na qimat hai
to ashk-bar hi rahne lagi hain aankhen bhi
main sochta hun mujhe hazm-o-ehtiyat se kya
ye zindagi jo dobara nahin milegi mujhe
guzar dunga yunhi ghum phir ke saDkon par
mere liye yahi gham hain yahi masail hain
main raegan hun ki hun kaamran nahin malum
yahi hai jurm mera hai yahi KHata meri
rahun hawa ki tarah dasht-o-dar mein aawara
kabhi hun jang pe nadim kabhi hai sulh se KHauf
ye jang-o-sulh ka mafhum aaj-kal kya hai
isi KHayal mein jis waqt nind aati hai
mere lahu mein meri sans mein mere dil mein
ghamon ki ajnabi zanjir khaDkhaDati hai
main KHauf-e-habs se yak-laKHt jag uThta hun
ye sochta hun ki bedariyon mein aalam-e-KHwab
azab hai nafas-e-atish-ashna ka azab
mera sukun kisi mujrim ki mohlat-e-tazir
meri KHushi kisi qaidi ka mehman jaise
mera wajud guzarta hua dhuan jaise
KHud apne aap pe ab yun mujhe tassuf hai
tamam umr raha hun main raegan jaise
Nazm
Hisab-e-shab
Sahar Ansari