tere honTon pe tabassum ki wo halki si lakir
mere taKHil mein rah rah ke jhalak uThti hai
yun achanak tere aariz ka KHayal aata hai
jaise zulmat mein koi shama bhaDak uThti hai
tere pairahan-e-rangin ki junun-KHez mahak
KHwab ban ban ke mere zehn mein lahraati hai
raat ki sard KHamoshi mein har ek jhonke se
tere anfas tere jism ki aanch aati hai
main sulagte hue raazon ko ayan to kar dun
lekin un raazon ki tashhir se ji Darta hai
raat ke KHwab ujale mein bayan to kar dun
un hasin KHwabon ki tabir se ji Darta hai
teri sanson ki thakan teri nigahon ka sukut
dar-haqiqat koi rangin shararat hi na ho
main jise pyar ka andaz samajh baiTha hun
wo tabassum wo takallum teri aadat hi na ho
sochta hun ki tujhe mil ke main jis soch mein hun
pahle us soch ka maqsum samajh lun to kahun
main tere shahr mein anjaan hun pardesi hun
tere altaf ka mafhum samajh lun to kahun
kahin aisa na ho panw mere tharra jaen
aur teri marmarin banhon ka sahaara na mile
ashk bahte rahen KHamosh siyah raaton mein
aur tere reshmi aanchal ka kinara na mile
Nazm
Hiras
Sahir Ludhianvi