hind hindostan walo tum ai hindu musalmano
tumhi aapas ke kul jhagDon ko be-khaTke miTa sakte
hain donon bulbul-e-shaida hai donon ka gulistan ye
na tum bhi chhoD sakte ho na wo bhi yan se ja sakte
to phir kya faeda hai tum ko har-dam yun jhagaDne mein
agar mil-jul ke aapas mein ho kul bigDi bana sakte
tumhaare kaam wo aaen tum un ka sath do har-dam
kudurat dil ki us surat se donon ho miTa sakte
ujaDte dekh kar is taur se KHamosh rahna kya
jo is ujDi hui basti ko ulfat se basa sakte
jo tum chaho to is ki dhum ek aalam mein mach jae
yahi hain wo ki jo ruThe huon ko hain mana sakte
wahi hain laeq-e-tahsin 'kubra' baghbanon mein
ki jo kumhlai kaliyon ko chaman ki hain khila sakte
Nazm
Hindu muslim ittihad
Nisar Kubra