اردو हिंदी
Hindu musalmanon ka ittihad | Shaahi Shayari
hindu musalmanon ka ittihad

Nazm

Hindu musalmanon ka ittihad

Chandar Bhan Kaifi Delhwi

;

jab ek hi chaman ki tum ho bahaar donon
jab ek hi shajar ke ho barg-o-bar donon

jab ek hi qalam ke ho shahkar donon
jab ek hi watan ke ho iftiKHar donon

aapas ki phuT se ho kyun dil-figar donon
han chhoD do ye ranjish ban jao yar donon

farzand ho haqiqi tum mader-e-watan ke
parwan chaDh rahe ho mewon se is chaman ke

yaksan hain jab qarine raftar ke chalan ke
donon ho chand-suraj is gardish-e-kuhan ke

muhtaj hain tumhaare lail-o-nahaar donon
han chhoDo ye ranjish ban jao yar donon

aapas ki barhami se ghairon ki hai ghulami
kyun ek dusre se karte ho bad-kalami

KHwab-o-KHayal hai ek ab daur-e-shad-kaami
barbaadiyon ka bais takrar hai maqami

kar lun yagangat ke qaul-o-qarar donon
han chhoD do ye ranjish ban jao yar donon

mazhab-parastiyon ne diwana kar diya hai
apni briadri se begana kar diya hai

barbaad murgh-e-dil ka kashana kar diya hai
KHali mai-e-tarab se paimana kar diya hai

jab ek mai-kade ke ho baada-KHwar donon
han chhoD do ye ranjish ban jao yar donon

rahne mein kuchh hai 'kaifi' barbaad ho ke rahna
kya gosha-e-qafas mein nashad ho ke rahna

sikho watan mein apne aazad ho ke rahna
gulzar-e-arzu mein shamshad ho ke rahna

bahen gale mein Dalo be-iKHtiyar donon
han chhoD do ye ranjish ban jao yar donon