naqus se gharaz hai na matlab azan se hai
mujh ko agar hai ishq to hindostan se hai
tahzib-e-hind ka nahin chashma agar azal
ye mauj-e-rang-rang phir aai kahan se hai
zarre mein gar taDap hai to is arz-e-pak se
suraj mein raushni hai to is aasman se hai
hai is ke dam se garmi-e-hangama-e-jahan
maghrib ki sari raunaq isi ek dukan se hai
Nazm
Hindostan
Zafar Ali Khan