اردو हिंदी
Hindostan mein urdu | Shaahi Shayari
hindostan mein urdu

Nazm

Hindostan mein urdu

Muneebur Rahman

;

din-dahaDe lafz ko bazar mein
qatl kar Dala gaya

ye KHabar tum ne suni
ye KHabar main ne suni

aur sun kar chup rahe
marne wale ka koi waris na tha

is liye hukkaam ne maqtul ki be-nam lash
murda-ghar ko bhej di

phir KHuda malum us ka kya hua
ek din kuchh sar-phire

DhunDhne nikle lughat ke maqbare
to achanak un ko ye katba mila

sab se pahle lafz tha