saf-suthri zaban hindi hai
KHush-bayani ki jaan hindi hai
hindiyon ka nishan hindi hai
auj mein aasman hindi hai
roz-marra jo bol-chaal ka hai
husn wo shoKHi-e-KHayal ka hai
us ke phulon ki tez hai KHushbu
har taraf mushk-rez hai KHushbu
waqai itr-bez hai KHushbu
ishrat-e-mauj-KHez hai KHushbu
shakl kaisi hasin hai is ki
brij-bhasha zamin hai is ki
kya milansar hai mizaj is ka
sulh-jui hai kaam-kaj is ka
sare sansar mein hai raj is ka
sikka baiTha hua hai aaj is ka
marhaTi kuchh hai kuchh hai punjabi
hai fasahat mein nutq-e-aarabi
farsi ki sughaD saheli hai
aur turki ke sath kheli hai
jo pasand aai chiz le li hai
chistan hai kahin paheli hai
lal-qile mein begmati thi
sath shahzadiyon ke jati thi
des-bhar ki ye ek hai bani
hinduni hai na ye musalmani
bol sakte hain is ko irani
sikh sakte hain sab ba-asani
kuchh mili hain jo un se saughaten
leadiyon se hain raat-din baaten
kis qadar bol-chaal hai sada
'sur' 'tulsi' the is ke dil-dada
kaif-za hai ye surat-e-baada
pi raha tha 'kabir' aazada
'ras' 'bihaari' the gul-fishan is mein
ab hain 'kaifi' se KHush-bayan is mein
Nazm
Hindi hindustani
Chandar Bhan Kaifi Delhwi