aaj bhi tere liye sozish-e-gham kam to nahin
zaKHm-e-dil par tere hamdam koi marham to nahin
tu jo phulon ki tarah phul kar itraata hai
dekhna yar tere jam mein shabnam to nahin
hind ki ye shab-e-mahtab bahut KHub sahi
qalb-e-anjum ka magar dard abhi kam to nahin
chandni-raat ke wade bhi wafa hote hain
ai gham-e-dil ye sabab laeq-e-matam to nahin
tishna-kaami mujhe majbur to karti hai magar
tere saghar se jhijakta hun kahin hum to nahin
tu ne aasudagi-e-shauq se khaya hai fareb
qalb-e-shair mein jo dhaDkan hai wo maddham to nahin
aaj 'masud' ki palkon pe diye hain raushan
sathiyo un ke sitaron se magar kam to nahin
Nazm
Hind ki ye shab-e-mahtab
Masud Husain Khan