sar-ba-kaf hind ke jaan-baz-e-watan laDte hain
tegh-e-nau le saf-e-dushman mein ghuse paDte hain
ek khate hain to do munh pe wahin jaDte hain
hashr kar dete hain barpa ye jahan aDte hain
josh mein aate hain dariya ki rawani ki tarah
KHun dushman ka baha dete hain pani ki tarah
jab baDhate hain qadam pichhe phir haTte hi nahin
hausle un ke jo baDhte hain to ghaTte hi nahin
dam-e-paikar harifon se ye kaTte hi nahin
ulTe qadmon pe bila fath palaTte hi nahin
hech hain un ke liye aahani diwaren bhi
rok sakti nahin faulad ki diwaren bhi
jazba-e-hubb-e-watan dil mein nihan rakhte hain
misl-e-KHun josh ye rag rag mein rawan rakhte hain
sar hatheli pe to qabze mein sinan rakhte hain
aankh jhapkane ki bhi tab kahan rakhte hain
nikli hi paDti hain KHud myan se teghen un ki
DhunDhti apna muqabil hain nigahen un ki
khinch ke dushman se gale tegh-e-rawan milti hai
dam dafna karne ko ghaarat-gar-e-jaan milti hai
KHun ka bahta hai dariya ye jahan milti hai
maut ki god mein dushman ko aman milti hai
tegh ke ghaT utarta hai muqabil un ka
ran mein pani bhi nahin mangta bismil un ka
war bhule se bhi paDta nahin ochha un ka
hath hota hai zaban ki tarah sachcha un ka
jis ne dekha kabhi munh dekha na pichha un ka
maut bhi manti hai razm mein loha un ka
ran mein biphre hue sheron ki tarah laDte hain
saf kar dete hain jis saf pe ye ja paDte hain
munh pe talwar ki chaDhte hain sipar ki surat
tegh ke phal ko ye khate hain samar ki surat
hausle aur baDhati hai KHatar ki surat
maut mein bhi nazar aati hai zafar ki surat
chhalni ho jata hai zaKHmon se agar tan un ka
tegh ke saya mein ban jata hai madfan un ka
razm ko bazm samajhte hain ye marda-r-watan
shahid-e-marg hai un ke liye chauthi ki dulhan
ye wo sar-baz hain rakhte hain baham tegh o kafan
hath dikhlate hain jab paDta hai ghamsan ka ran
un ki shamshir-e-do-paikar pe zafar sadqe hai
un ka bartaniya ke nam pe sar sadqe hai
Nazm
Hind ke jaan-baz sipahi
Barq Dehlvi