اردو हिंदी
Himmat-e-mardan | Shaahi Shayari
himmat-e-mardan

Nazm

Himmat-e-mardan

Ahmaq Phaphoondvi

;

nai tahzib ne barbaad ghaarat kar diya bilkul
hum apne mulk se ab is ko ghaarat kar ke chhoDenge

hamare ilm o fan sab is ne ruKHsat kar diye hum se
hum ab hindostan se is ko ruKHsat kar ke chhoDenge

ghulami ne hamare sare jauhar KHak kar Dale
hum apne mulk se dur ab ye lanat kar ke chhoDenge

hum apne mulk par qabza karenge jis tarah hoga
zaban-e-be-kasi se KHatm hujjat kar ke chhoDenge

fana kar denge ahl-e-jabr-o-istibdad ki hasti
zamin mein dafn rasm-e-jahal-o-wahshat kar ke chhoDenge

miTa Dalenge hum har KHud-sar o maghrur ka ghurra
tah-o-baala nizam-e-kibr-o-naKHwat kar ke chhoDenge

haTa denge har ek sang-e-giran ko apne raste se
numayan apni shan-e-istaqamat kar ke chhoDenge

agar koh-e-giran bhi hoga apni rah mein hail
use bhi paemal-e-azm-o-himmat kar ke chhoDenge

gharaz ab ye tahayya kar liya hai mustaqil hum ne
fana ek din ye taghuti hukumat kar ke chhoDenge