bhala majal kahan mujh se be-zabanon ki
ki munh se baat kahun kuchh falak nishanon ki
tere wajud se aalam ye ho gaya raushan
ki KHak-e-hind mein rifat hai aasmanon ki
wo phul hain tere daman mein samne jin ke
bahaar gard hai duniya ke gulistanon ki
guphaon se teri niklen to sare aalam mein
sadaen gunj uThin tauhid ke taranon ki
bulandiyon se teri jab rawan hue chashme
hayat jin se hai duniya ke baghbanon ki
mai-e-majaz mein jo nashsha-e-haqiqat hai
wo yaadgar hai to ishq ke fasanon ki
teri bulandi ghurur-e-waqar ke aage
chali na ek hawai-jahaz-ranon ki
wo sur phunk de apne lab-e-mubarak se
ki yaad taza ho bhule hue fasanon ki
aTal hon jin ke irade KHayal jin ke buland
uThen ab aise zamin-e-watan se hausla-mand
Nazm
Himala se do do baaten
Jigar Barelvi