himala ke nokile badan se phisalti hui chanchal bunden
us ke qadmon pe ja girin
wo himala ke pairon ko chumti rahin aur alamiya git gati rahin
mere mahbub hum ki bas teri dasiyan ban kar
tere qadmon ko hamesha chumte rahna chahti hain,
ye Dhalwan hamein junub ki or jitna bhi aage baha le jae
lekin ek din
hum samundar se uThne wali hawaon ki rath par sawar ho kar
phir se teri jaanib lauT aaenge
ye git dohraate hue
tamam dasiyan apne mahbub ko aaKHiri bosa de kar
ek lambe safar ke liye nikal jatin hain
jharna,
nadi,
dariya,
samundar
himala ki haibat se barf ho jaane wala suraj
jab himala se lipTi sard hawaon se na jit saka
to
apni haar ka badla lene
himala ki dasiyon ke taaqub mein nikal paDta hai
jun jun dasiyan himala se dur hoti ja rahi hain
is (suraj) ka qahr aag bin kar un (dasiyon) par barasta chala jata
wo ek ek kar ke tamam dasiyon ko nigalna chahta hai
aur wo aisa hi karta hai aur karta hi chala jata hai
yahan tak ki
har dasi ke gile badan se us ki ruh bhap ban kar uD jati
la-zawal qurbani KHuda qubul karta hai
maut andhi ho jati hai
aur zindagi pani ban kar un (dasiyon) ki ragon mein dauDne lagti hai
junub se uThne wali hawa
in dasiyon ki pak ruhon ko
apne kandhe par lade shumal ki jaanib wapsi ka safar kartin hain
din
hafte
mahine
dasiyon ko apna dewta phir nazar aane laga
wo hawa ko kuchh aur tez chalne ko kahti
wo sab bechain hain
be-qarar hain
wo apne narm honTon se
himala ke KHakistari labon ko chumna chahti thin
wo apne mahbub ko ye batana chahti hain ki
teri mohabbat mein maut ne hum se hamara badan chhin liya hai
har badli ke dil mein ye KHwahish thi
ki himala unhen apni banhon mein sameTe
aur
hamesha se sar uThae khaDe rahne wale himala ki
chauDi chhati se Takra kar baras jaana
har badli ka KHwab hai,
dasiyan hawa se kuchh aur tez chalne par israr kartin hain
lekin ab hawa ko ye sab dekhna bardasht nahin
wo,
in badliyon se chilla chilla kar kahti
ai badliyo
tum sab ehsan faramosh ho
ki jab tumhein suraj ne jala kar bhap bana diya
to tumhaari sukhi lashon ko main ne kandha diya
wo main hi thi ki jis ne tumhein apni aaghosh mein bhara
aur aasman tak le aai
lekin aaj tum is himala par
phir se apna sab kuchh qurban karne ko tayar ho!
tum aaj phir us himala se Takra kar barasna chahti ho
tuf hai tumhaari diwangi par!
hawa taish mein aa kar kuchh aur tez chalne lagti
wo ek ek kar ke har badli ko himala ki chauDi chhati se Takra deti
aur badli apne mahbub ka lams mahsus karte hi
ek-bar phir bundon mein bikhar jati hai
aur himala ke qadmon pe girti har bund
dobara wahi purana git dohraati hain
ai mere mahbub hum ki bas teri dasiyan ban kar
tere qadmon ko hamesha chumte rahna chahti hain,
ye Dhalwan hamein junub ki or jitna bhi aage baha le jae
lekin ek din
hum samundar se uThne wali hawaon ki rath par sawar ho kar
phir se teri jaanib lauT aaenge
Nazm
Himala ki dasiyan
Faisal Saeed Zirgham