ajib bezar shaKHs hai wo
use aqidat aziyyaton aazmaishon se
wo sar pe duniya ka bojh Dale
riwayaton ke liye hawale
tamam himmat-ba-kaf diyanat
kuan naya rose khodta hai
phir us mein girta hai
gir ke KHud ko nikalne ki muhim mein din-raat kaTta hai
use mohabbat hai zat ki gahri khaiyon se
kamal hairat hai us ne KHud se kabhi na puchha
ye bojh kaisa uTha rakha hai
hai is aziyyat mein maslahat kya
qadam qadam KHar-dar raste
ye dasht-o-dariya ye kohsaron ke silsile se
ye chhoTi chhoTi rukawaTen ek phul had tak
ye lamhe lamhe ki muskurahaT ke muntazir log haspatalon mein
meri aankhon se kyun chhupe hain
ye mere KHwabon se dur kyun hain
sile hue un ke honT kyun hain
kamal hairat hai us ne KHud se kabhi na puchha
koi sada sarfarosh jazba
koi nida kyun nahin bulati
ai dam-e-kulfat ke be-riya daimi sitam-kash
main muntazir hun
kabhi mujhe bhi tu aazma le
Nazm
Himala
Abrarul Hasan