اردو हिंदी
Hilal-e-id | Shaahi Shayari
hilal-e-id

Nazm

Hilal-e-id

Nisar Kubra

;

kyun ishaara hai ufuq par aaj kis ki did hai
alwidaa mah-e-ramazan wo hilal-e-id hai

masjidon mein sab jama ho jaenge KHurd-o-kalan
dur ho dil ki kudurat ye sawal-e-id hai

muslimon ke sar jhuken hain sajda-e-allah mein
kya uKHuwwat ka sabaq hai kya kamal-e-id hai

aaj ghoraba bhi amiron ke gale mil jaenge
kuchh nahin tafriq hogi ye visal-e-id hai

hai musalmanon par wajib sadqa-e-id-ul-fitr
pa ke rozi KHush hain ghoraba ye nihaal-e-id hai

zeb deta hai libas-e-nau nae andaz mein
tan badan bhi hai moattar ye jamal-e-id hai

id aai aur kya kya yaad taza kar gai
sonch bichhDon ki hai dil mein aur KHayal-e-id hai