sharab-e-shor se labrez hai duniya ka paimana
harif-e-din-o-danish hai mazaq-e-pir-e-mai-KHana
bashar iblis ko tazwir-e-nau ka dars deta hai
muzayyan hai gunah-e-gunagun se har pari-KHana
ulum-e-nau se raushan bazm hai tahzib-e-hazir ki
yad-e-tajdid ne Dhaala hai dil-awez but-KHana
ye mana maghribi talim ne parwaz baKHshi hai
ye mah-o-KHur bhi ban jaenge ab qindil ka shana
KHuda ke chahne wale abhi tak bhole-bhaale hain
bana rakha hai harz-e-jaan sada mazi ka afsana
gunah-e-taza ki taKHliq se iblis qasir hai
dimagh-e-fitna-ju par hai musallat zof-e-pirana
bahut majbur be-chaara hai KHud pirana-sali se
use malum kya hai masiyat ka taza paimana
KHuda wale tajjub hai ki masum-o-muqaddas hain
azab-e-nau-ba-nau se hai murassa aaina-KHana
rah-e-tashkik par raKHsh-e-hunar paiham KHiraman hai
bahut mushkil hai fitrat ka abhi tasKHir farmana
musawat-e-nazar ka muddaton se shor sunta hun
faza duniya ki hai lekin abhi tak firqa-warana
hawas ka dars to yaro bahut hi KHub hai lekin
abhi quran ki tafhim se aajiz hai farzana
buton ka toDna tha kar-e-asan ahd-e-mazi mein
wale mushkil hai Dhana aaj ki hikmat ka but-KHana
qulub-e-asr-e-hazir mein abhi iman Dhal jae
faqiron ka nahin dekha hai ejaz-e-kalimana
tafaKHur ke marizon ke liye iksir hoti hai
sarasar banda-e-'bebak' ki tarz-e-faqirana
Nazm
Hikmat ka but-KHana
Bebak Bhojpuri