chunanche sar-e-sham hum sab kisi KHandan-e-farangi se bahr-e-mulaqat nikle
yahan mera ham sab se matlab hai wo dusre ham-watan aur paDosi ki jo mulk-e-afrang ki is baDi
jamia mein husul-e-zar-e-ilm-o-danish ko aae hue the
kisi se ye matlab hai hum ko KHabar tak nahin thi ki hum sab kahan ja rahe hain
kahan kis ko kis shaKHs ki mezbani milegi
bahar-haal ye taifa ajnabi mehmanon ka ek darmiyane se ghar mezbanon hi ki rahnumai mein pahuncha
wahan hum se pahle bhi kuchh log maujud the
riwayat-e-beganagi farangi mein basta
tanabon mein barfile ThiThure hue yaKH-zada mausamon mein muqayyad
magar jin ke chehron pe un ki maishat ke rasmi shagufe khile the
taaruf ki ek muKHtasar tez ThanDi si gardan
so aaKHiri nam ke aaKHiri harf ki Dubti chand lahren
so aaKHiri hath ke khurdure chand reze
mere hafize mein to kuchh bhi nahin rah gaya tha
chunanche taaruf ke sangin farshon ko ek bar phir se kureda to dekha
sath saKHt thi aur naKHun baDe narm the
is asna mein ek KHanam mezban donon hathon mein saini uThae
nabid-e-musaffa o gul-rang ke kuchh bilorin piyale sajae
ba-sad-naz-o-andaz aain
abhi is nabid-e-musaffa ke do chaar chakkar hue the
ki bosida rasmon ki unchi faslen
tassub ke tarik zindan
takalluf ki chikni munDeren
tasanno ki pur-KHar baDhen
sarasar ye sab gir gain aur ajnabi ham-watan ban gae
Nazm
Hikayat-e-shab
Partav Rohila