main ki la-intiha waqt ki rahguzar par
sirf ek lamha-e-muKHtasar
main ki ehsas-o-afkar ke bahr-e-zaKHKHar mein
sirf ek qatra-e-muztarib mein ki sahra-e-hasti ki tapti hui ret par
sirf ek zarra sar-nigun
main ki ek wusat kaenat-e-hasin mein
sirf ek nuqta-e-be-sukun
main wo qatra ki jis mein samundar ki betabiyan maujzan hain
wo lamha jo mustaqbil-o-haal-o-mazi ka aaina hai
main wo nuqta ki jo gardish-e-dahr ka aashna hai
main wo zarra ki sahra-e-hasti ki tishna-labi
apne dil mein chhupae
main wo ek jism-e-nazuk ki jo
nasl-e-insan ke dard aur isyan ka bar-e-garan
apne sar par uThae
main wo ek chashm-e-pur-shauq jis ke liye wusat-e-dasht-o-sahra bhi kam thi
main ne phir chand taron par Dali kamanden
aasmanon ke wo jagmagate makin
is anokhi jasarat pe sab muskurae
main ki KHud mahram-e-zauq-e-parwaz
hamraaz sar-e-bulandi
chand taron ki mahfil se nazren churae
main ki KHud saghar-e-shauq
paimana-e-jazb-o-masti
halqa-e-mai-gusaran se daman bachae
main ki KHud jurat-e-ehtiram-e-did
KHud jurat-e-ehtiram
sirf ek jurat-e-arzu par pasheman
main ki KHud sare aalam ke dard-o-alam ki amin
apne zaKHmon ke aatish-nawai pe KHandan
main ki har raaz-e-sar-basta se aashna
main ki aahang-e-hasti ki hamraaz hun
main hun sadiyon ki khoi hui ek sada
main anasir ka TuTa hua saz hun
Nazm
Hikayat-e-gurezan
Zahida Zaidi