dubla patla nazuk 'dauran'
shisha jaisa nazuk 'dauran'
gham ki kali raat ka mara
apne hi jazbaat ka mara
aaThon pahar yun khoya khoya
jaise gahri soch mein Duba
kam hansna aadat mein daKHil
KHamoshi fitrat mein daKHil
shama ki surat bazm mein jalna
gah bhaDakna gah pighalna
mathe par har waqt shikan si
chehra par aazurda thakan si
chehre se mahrumi zahir
masumi mazlumi zahir
aankhen har dam umDi umDi
palken har dam bhigi bhigi
karb aankhon mein dard aankhon mein
rah-e-wafa ki gard aankhon mein
sahma sahma sham-e-bala se
ruTha ruTha apne KHuda se
aql-o-KHirad se ji ko churae
pagal-pan se baz na aae
jaane dil mein kis ki lagan hai
ruh mein kis kanTe ki chubhan hai
ye hai apna 'dauran' yaro
uljha suljha 'dauran' yaro
lekin yaro yahi musafir
rah-e-wafa ka dukhi musafir
shanon par ek bojh ko lade
rah-e-talab mein aage aage
dil mein ek mazbut irada
nazron mein ek raushan jada
gham ki lambi raat pe bhaari
zulm ka aur zulmat ka shikari
insani tahzib ka qail
duniya ki tamir pe mail
sai-e-paiham us ki tamanna
jagmag jagmag us ka rasta
us ki sari fikr-e-pareshan
insani tanzim ki KHwahan
nazmen us ki jaan-e-maqasid
ruh-e-tamaddun shan-e-maqasid
subh pe shaida sham pe aashiq
apne watan ke nam pe aashiq
baaten raib-o-riya se KHali
har naqsh-e-kirdar misali
pyar insan ka dil mein chhupae
dard-e-jahan sine mein basae
'dauran' hai ya ruh-e-'dauran'
giryan giryan KHandan KHandan
is ki duniya apni duniya
is duniya mein sari duniya
Nazm
Hikayat-e-dauran
Owais Ahmad Dauran