mere dukh ka ahd tawil hai
mera nam lauh-e-firaq par hai likha hua
main janm janm se kisi mein aks-e-mushabahat ki talash mein
phir apne KHwab sarab sath liye hue
gaya shahar shahar nagar nagar
thin ajib bastiyan rah mein meri jit meri shikast ki
kisi dusre ki sadaqaten meri rahbar mari rahzan
liye sath sath qadam qadam
kabhi pesh-e-KHalwat-aina
kabhi subh-o-sham ki KHilqaton ke julus mein
kai zahiron, kai baatinon ke badalte rup mein munqasim
mujhe kar gain
main dhuan sa aatish-e-asl ka
uDa aur KHud se bichhaD gaya
mujhe har qadam pe laga ki main
safar-azman hun magar mujhe meri samt ki bhi KHabar nahin
main halif apne ghanim ka
hun jahan bhi rah-e-ziyan mein hun
main KHayal-parwar-e-shauq shahr-e-misal ka
mujhe har maqam pe yun laga
ki haqiqaton ke sagan-e-kucha-naward mujh pe jhapaT paDenge yahin kahin
mujhe duniya-dar pachhaD denge mufahamat ki zamin par
mere hath bhige hue sadaon ke KHauf se
meri sans larzi hui hawa ki machan par
ye farar tha
ki ana ka saya-o-saeban
liya jis ne apne bachaw mein
main rawan raha kisi be-numud si raushni ke bahaw mein
mera pa-e-shauq-e-saza kahin pe ruka nahin
ye nasheb-e-sham hai aur main hun rawan-dawan
ye nahin ki mujh ko aman milegi shab-e-abad ke paDaw mein
zara intizar ki jab wajud ka kuza-gar
mujhe phir se KHak bana chuke
to ye dekhna
ki shabih-e-shaKHs-e-digar mein lauT ke aaunga
usi shahr mein
mera nam lauh-e-firaq par hai likha hua
mere dukh ka ahd tawil hai
Nazm
Hijr-zad
Aftab Iqbal Shamim