tu pas tha ji ko chain kuchh tha
tera jaana ki aafat aai
nazron se chhupa jo tera chehra
mere sar par qayamat aai
baqi thoDa sa din tha lekin
meri aankhon mein tha andhera
kyunkar ho sabr mujh se mumkin
dil ko har-dam hai dhyan tera
ai zulm ke aur sitam ke bani
ai shoKH jafa-shiar ayyar
mujh ko dubhar hai zindagani
meri aankhon mein hai jahan tar
ai barq-misal ai trahdar
ai mah-jabin ghazal-sirat
mujh par tar-e-nafas hai ek bar
mujh se koson pare hai rahat
ghar-bhar sota hai ek betab
aahen bhar kar taDap raha hai
bhule bhi aankh ko nahin KHwab
zulmat-e-shab ki ajab bala hai
hargiz hargiz mujhe mayassar
aai koi ghaDi na rahat
kaisa kaisa raha hun muztar
kitni kitni uThai zahmat
dil ko hai saKHt be-qarari
jine ke paD gae hain lale
dil ki haalat na ye miTegi
jab tak tu hi na phir sambhaale
mujh ko tanhai go satae
tujh ko aish-o-tarab ho maimun
mujh par aafat hazar aae
tujh se KHush-talai ho maqrun
tujh se chhuTna hai saKHt mushkil
jab tak hai hafize mein qudrat
tera tera rahega ye dil
jab tak na milae tujh se qismat
Nazm
Hijr
Azeemuddin Ahmad