KHud apne dil ka KHun faza mein uchhaal ke 
mazmun likhe hain hum ne firaq o visal ke 
kuchh sanehon ki yaad hai unwan-e-roz-o-shab 
kuchh hadse hain nok-e-zaban mah o sal ke 
ek na-tamam dard sharik-e-chaman raha 
shaKHon pe konpalon ki naqaben ujal ke 
sehn-e-haram se anjuman-e-mai-farosh tak 
do-gam fasla hai zara dekh-bhaal ke 
pachhta rahe hain naghma-sarayan-e-fasl-e-gul 
bazm-e-chaman se sarw-o-saman ko nikal ke 
hum ne kiya hai gardish-e-dauran ko paemal 
hum ne sahe hain zaKHm zamane ki chaal ke 
'shorish' zamana hum se muafiq na ho saka 
hum log hain chaman mein purane KHayal ke
        Nazm
Hijr o visal
Shorish kashmiri

