hijr ki raaten kali kali
is par yaad kisi ki jari
aise gahre sannaTe mein
kis se kahen hum gham ki kahani
duniya sari soti hai
tare ginna bechaini mein
aahen bharna betabi mein
aah hamari sone walo
is haalat mein lachaari mein
raat basar yun hoti hai
kushta-e-gham ki ab turbat par
hasrat roti hai hasrat par
ek udasi ka aalam hai
sone wale ki qismat par
sham-e-baalin roti hai
jis mein hasrat ki basti hai
jis ki bulandi har pasti hai
yani jis ko dil kahte hain
jis par sab duniya hansti hai
ek anokha moti hai
charKH ne bedardi be-rahmi
sach to yahi hai us se sikhi
aao 'alim' kuchh to batao
sab kuchh hai par yas kisi ki
yaad bhala kyun khoti hai
Nazm
Hijr ki raaten
Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi