kahan tak KHema-e-dil mein chhupaen
apni aason aur pyason ko
kahan tak KHauf ke be-shakl sahra ki hatheli par
kurede jaen aankhen aur
lakiren raushni ki phir na ban paen
hum insan ho ke bhi sae ki KHushbu ko taras jaen
chalo ek dusre ki KHwahishon ki dhup mein
jalte hue aangan ki virani mein aankhen band kar len aur baras jaen
yahan tak TuT kar barsen ki pani
wasl ki miTTi mein KHushbu gundh le aur phir saron tak se guzar jae
zamin se aasman tak ek hi manzar sanwar jae
hamare raston par aasman apni gawahi bhej de
KHushbu bikhar jae
zamin panw ko chhu le
chandni dil mein utar jae
hawa gar hijr ki sazish mein hisse-dar ban kar darmiyan aae
hijr ke par bhig jaen aur
hawa pani mein mil jae
Nazm
Hijr ke par bhig jaen
Noshi Gilani