us ko shak tha
KHuda ne do aadhe jism amudan joD ke
us ko tamir kiya hai
jis mein ek hissa apna aur ek paraya hai
wo aadhe aadhe do jismon ka hasil hai
wo aksar raat ke kale chehre se Dar jata
to apni hi god mein chhup kar rone lagta
KHud se baaten karta
diwaron se sar Takraata
apni takmil ki KHatir
donon aadhe jismon ko
bistar par tanha chhoD ke
apne asli hisse ki talash mein kho jata
lekin KHali hathon ko jab
dozaKH ki jaanib laTkae wapas aata
apni hi gardan mein bazu Dale
KHud se lipaT kar so jata
Nazm
Hermaphrodite
Zahid Imroz