dard itna tha ki us raat dil-e-wahshi ne
har rag-e-jaan se ulajhna chaha
har bun-e-mu se Tapakna chaha
aur kahin dur tere sahn mein goya
patta patta mere afsurda lahu mein dhul kar
husn-e-mahtab se aazurda nazar aane laga
mere virana-e-tan mein goya
sare dukhte hue reshon ki tanaben khul kar
silsila-war pata dene lagin
ruKHsat-e-qafila-e-shauq ki tayyari ka
aur jab yaad ki bujhti hui shamon mein nazar aaya kahin
ek pal aaKHiri lamha teri dildari ka
dard itna tha ki us se bhi guzarna chaha
hum ne chaha bhi magar dil na Thaharna chaha
Nazm
Heart-attack
Faiz Ahmad Faiz