jahan mein danish o binish ki hai kis darja arzani
koi shai chhup nahin sakti ki ye aalam hai nurani
koi dekhe to hai barik fitrat ka hijab itna
numayan hain farishton ke tabassum-ha-e-pinhani
ye duniya dawat-e-didar hai farzand-e-adam ko
ki har mastur ko baKHsha gaya hai zauq-e-uryani
yahi farzand-e-adam hai ki jis ke ashk-e-KHunin se
kiya hai hazrat-e-yazdan ne dariyaon ko tufani
falak ko kya KHabar ye KHak-dan kis ka nasheman hai
gharaz anjum se hai kis ke shabistan ki nigahbani
agar maqsud-e-kul main hun to mujh se mawara kya hai
mere hangama-ha-e-nau-ba-nau ki intiha kya hai
Nazm
Hazrat-e-insan
Allama Iqbal