samundaron ke muhib tufan mere azaem ke sahilon se shikast kha kar palaT chuke hain
main kohsaron ki hastiyon se bhi aasman ka waqar ban kar ulajh chuka hun
main jangalon ki hawaon ka zor toD deta raha hun apne nafas ki shorida satwaton se
mere tafakkur ki garm-raftariyon se larzan rahe hain sahraon ke bagule
ye zikr hai us tawil mazi ka main akela tha is bhari kaenat mein jab
faqat meri jaan-gudaz tanhai saya ban kar thi sath mere
main un dinon sochta tha mera wajud aaina-dar tab-o-tawan hai jis ko
zawal-e-amadgi se nisbat nahin hai koi
aur aaj jab ki ye mere bachche
jinhen zamane ki aankh ne mere dast-o-bazu ka rup samjha
meri tawanaiyon ke markaz ka aks jaana
mere rag-o-pai mein ek ehsas-e-KHauf har-dam ubhaarte hain
to sochta hun
main kitna kamzor ho gaya hun
hawa ka ek na-tawan sa jhonka bhi un ke pahlu se jab guzarta hai
lakh andeshe jag uThte hain mere dil mein
ajib tashwish gher leti hai jism-o-jaan ki tamam tabinda wusaton ko
main apne bachchon ko apni quwwat kahun ki be-himmati ka mazhar
Nazm
Hayule
Arif Abdul Mateen