mah o sal ke tane bane ko
zarrin shuaon ki gul-kariyan
meri nazron ne baKHshi hain
aafaq ke KHadd-o-KHal-e-bahaar-afrin mein
mere KHun ki saughat shamil hai
har wusat-e-be-karan mein
meri dhaDkanen gunjti hain
har ek lamha koi na koi bagula uTha
aur mere naqsh-e-pa ko miTane ki dhun mein chala
lekin aawaz-e-pa ki garajti ghaTaon se
Takra ke dasht-e-KHamoshi mein
gum ho gaya
har ek gam samton ne
sangin shikanjon mein kasne ki
hasrat ko ruswa kiya
meri fikr ki lau
sumum o saba ki
fusun-kariyon se gurezan
musalsal farozan rahi
ye wo aanch hai jis ki hiddat se
har quwwat-e-sang-sazi pighalti rahi
magar aaj meri ana ke hayula mein
KHud-saKHta kuchh lakiren ubhar aai hain
mujh ko Dar hai
kahin phailte phailte ye lakiren
meri zat ko para para na kar den
anasir ko phir aashkara na kar den
Nazm
Hayula
Aziz Tamannai