shiddat-e-iflas se jab zindagi thi tujh pe tang
ishtiha ke sath thi jab ghairat o ismat ki jang
ghat mein teri raha ye KHud-gharaz sarmaya-dar
khelta hai jo barabar nau-e-insan ka shikar
rafta rafta luT li teri mata-e-abru
KHub chusa teri rag rag se jawani ka lahu
khelte hain aaj bhi tujh se yahi sarmaya-dar
ye tamaddun ke KHuda tahzib ke parwardigar
samne duniya ke tuf karte hain tere nam par
KHalwaton mein jo tere qadmon pe rakh dete hain sar
raste mein din ko le sakte nahin tera salam
raat ko jo tere hathon se chaDha jate hain jam
tere kucha se jinhen ho kar guzarna hai gunah
garm un ki sans se rahti hai teri KHwab-gah
mahfilon mein tujh se kar sakte nahin jo guftugu
tere aanchal mein bandhi hai un ki jhuTi aabru
peT ki KHatir agar tu bechti hai jism aaj
kaun hai nafrat se tujh ko dekhne wala samaj
Nazm
Hawwa ki beTi
Jaan Nisar Akhtar