haweli maut ki dahliz par kab se khaDi hai
chand ne bujh kar
sitaron ne udasi oDh kar
phulon ne KHushbu ka libaada phenk kar
mahaul pas-az-marg ka tayyar kar Dala hai
bas ek aaKHiri hichki ke sab hain muntazir
sare aizza-o-aqarib nauha-KHwani ke liye
tayyar baiThe hain
haweli maut ki dahliz par kab se khaDi hai
us ke marne mein agar kuchh der baqi hai
to chal kar dusre kuchh kaam kar Dalen
sadi ka dusra ashra
nae aaghaz ke pul par khaDa ho kar
samundar ki bipharti mauj ko lalkarta hai
waqt ke ghawwas
sipon mein guhar khagante hain
ibn-e-adam ke qabile
ruh-e-mashriq ki purani ghaTiyon se
ek ek kar ke nikalte hain
buKHara o samarqand uzbekistan o hirat
sab pe chhai hai andheri saKHt raat
lucknow aur akbarabad apni shaukat kho rahe hain
marhaba sham-e-ghariban
ab to chal kar dusre kuchh kaam kar Dalen
haweli maut ki dahliz par kab se khaDi hai
Nazm
Haweli maut ki dahliz par
Ain Tabish